Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein
posted in Uncategorized |
Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein,
Bass zra wafaa kamm hai terey shehar vaalon mein,
Pehli baar nazron nay chaand boltay dekha,
Hum javaab kya detey kho gaye sawaalon mein,
Meri aankh kay taarey abb na dekh paaoogay,
Raat kay musaafir thay kho gaye ujaalon mein,
Jaisay aadhi shabb kay baad chaand neend mein chaunkay,
Voh gulaab kee zumbish unn siyaah baalon mein,
tags: latest sms, good sms, shairy sms, Hindi Urdu sms, Wise word, Funny sms, urdu sms, romantic sms, Love sms, Sms joke
This entry was posted
on Tuesday, April 1st, 2008 at 12:21 am and is filed under Uncategorized.
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed.
Responses are currently closed, but you can trackback from your own site.